"Zeenat, Aapka dimaag tou theek hai na ? Aap Sartaz ke liye Hoor ka haath kaise Maang sakti hai?" Sartaz shouted on her.
"Haan tou ? Kya galat kar diya humne ? Hume Sartaz ka dusra nikah tou karwana hi tha n aur vou log bhi Hoor ka Nikah karna chahte hai tou bas humne aage se jaake unki beti ka haath maang liye." Zeenat said casually.
"Waah aap itna bada faisala kar li aur uss faisale ko anjaam tak pahuchane ke liye kadam bhi utha liya par insb ke douran aapne humse ek baar bhi hamari rai tak Leni zaruri nahi samjha ?" Asif asked to which Zeenat lowered her gaze... [ Wah jaanke iss bare mein Asif se baat nahi karna chahti thy kyunki usey pata tha ki vou ye baat shru hone se pehle hi mana kar dega usey daba dega.
"Vou dono hi hamare apne hai aur humein nahi lgta ki humne kuchh galat kiya ye karke..." Zeenat said looking to the other side.
"Achha ? Ye ye aapko sahi lagta hai ? Isme aapko dono ki bhalayi lagti hai ? Hoor ki umar tou pata hai n aapko ? Ek bachhi ka nikah aap Sartaz se krwake usk bhala kar rhi hai ? Aap usko apni beti bolti thi n ? Tou fir apne beti ke sath aisa kaise kar sakti hai aap ? Aapse ye ummid nahi thi humein.... I'm very disappointed with you." Asif said angrily.
Heard this from her husband... Zeenat nodding her head and asked him "Aap aap aisa sochate hai hamare baare mey ? Aapko lagta hai ki hum uski life barbad kar rahe hai ye rishta karwake ? Bataiye aakhir Kami kya hai hamare Sartaz mein ? Ki vou ek divorcee hai, dou judwa bachho ka waalid hai ? Par aap hi n kehte hai ki ye uski Kami nhi hai, balki uski kismat mey ye hona likha tha tou fir aaj aap aise kyun react kar rahe hai ? Kya usey dubara Zindagi jeene ka haq nahi hai ?"
"Baat ko ghumao Matt Zeenat, humne ye kab kaha ki usme koi kami hai ya vou dusra chance deserve nahi karta hai ? Humne kab bola ki Usey dubara Zindagi jeene ka haq nahi hai ? Yanha hum baat Hoor ki kar rahe hai, uski umar naazuk hai, bachhi hai abhi vou, vou kaise sambhal payegi ye sab ? Upar se usey dou bachhe bhi paalna hoga." Asif said while controlling his anger.
"Haan tou ? Har ladki ki zindagi nikah ke baad badlti hai, nikah se pehle sb bachhiya hi hoti hai unhe nhi pata hota kuchh but ek baar nikah ho gya aur zimmedari sur pe aayegi tou vou khud dhire dhire sab kuch sambhalna Sikh legi.... Humein uspe pura bharosa hai." Zeenat said with a plain face.
"Aur uski study ? Uska kya ? Aap tou jaanti hai n ki vou kitni brilliant student hai ? Tou fir uske career ka kya hoga ? Kya vou apni study complete kar payegi ? Kya usey vou log padhne denge. ?" Asif asked.
"Hum ye sab nahi jaante hai... Ye decision uske shouhar ka hoga... Array chalo hum Sartaz se uska nikah nahi bhi karwaye tou kya ? Uski kisi aur se tou nikah hona hi hai n... Uske abbu uska nikah karake hi saans lenge.... Tab fir ye tou uske shouhar ke haath mey hi hoga n...wahi akhiri faisala lega n ?" Zeenat said.
Listing this.... Asif said "agar Ayub bhaijaan uss ladke ke wajah se ye sab kar rahe hai tou humein unhe samjhana chahiye n ? Vou hamare hi college mey padhti hai n ? Aur humein tou sachhai achhe se maalum hai n ki uski koi galti nahi hai, usne aisa koi kadam nahi uthaya hai jisse unka sur jhuka ho, par aapne kya Kiya ? Aap unhe samjhane ke bajay unke iss galatfehmi ka fayada utha rahi hai, uska 3-4 jagah rishta kat gya tou aap apne sartaz ka rishta lekar chali gayi."
"Aap samjh kyun nahi rahe hai ? Ab sabkuch haat se fisal Chuka hai... Kuchh bhi samjhane ya sambhalne ke haalat nhi rahe hai... Uske affair ki khabar pure shehar mey fail Chuka hai... Isliye uske sath koi apna bete ka nikah karana nahi chahta hai, tou fir humne sartaz ke liye uska haath maang kar kya galat kar diye haan ? Aur haan humein ye karna sahi laga isliye humne kiya aur yehi sahi hai Hoor ki aane waali zindagi ke liye samjhe aap." Zeenat said without meeting her eyes with her husband.
"Tou ? Hoor kya Maan gayi iss rishte ke liye ? Vou ready hai dou bachhe ke baap se nikah karne ke liye ?" Asif asked fisting his hand.
"Ye kaam uske gharwalo ka hai aur humein yakeen hai ki vou log usey mana hi lenge. " Zeenat said.
And listing this... Asif asked "Aur Sartaz ? Vou manega iss nikah ke liye ?"
"Vou aap hamare upar chhod de... Humein usey iss dafa mana hi lenge... Aakhir kab tak vou mana karta rahega..." Zeenat said.
"Aap bahut galet kar rahi ho Zeenat... Aap ek ki zindagi sanwarne ke liye dusre ki zindagi ka bali Chadha rahi ho." Asif said angrily...
"May be you are right... But hamare Bhai ke khusi uski zindagi sanwarne ke liye hum kuchh bhi karenge aur hamari nazaron mey usey Hoor se behtareen koi aur ladki mil hi nahi sakti hai. " Zeenat said coldly.
Write a comment ...