Nikah.... Hamari Dusri Mohabbat
Tum hamari zindagi mein aayi vou rang ho jisne hamari sukhi patjhad si zindagi ko rangeen kar diya. "Sartaz Ahmed Khan " • Ishq ka tou pata nahi par aap hamare junoon ki vou kashish ban gaye hai jiske bina zindagi humein ab ganwara nahi. "HoorNaaz "Ammi Hamara yakeen kare hmare aur Atif ke bich aisa kuchh nahi hua hai. Hum unke sath relationship mein they par humne Aaj Tak apni izzat ko unhe nahi sounpa hai. "Tum kahogi aur hum Maan lenge Hoor ? Vou bhi tab jab tumhare aur uss ladke ke charche tumhare pure college mey ho rahi hai ?" Rukhsar begum "Ammi Hamara yakeen kare hum sach meh rahe hain. " Bas Hoor bahut keh liya aapne apni safayi mein aur bahut sunn liya humne aapki daleelo ko" Ayub Ikhlaq khan "Abbu aap bhi humpe Shaq kar rahe hai ? Aapko apni hoor pe yakeen nahi raha ab ?" Baat yakeen ki nahi hai hoor baat hamare Maan ki hai hamare izzat ki jo aaj aapki wajah se mitti mey mil rahi hai." "Abbu " "Bs hoor bs kijiye aur taiyar ho jaiye apne nikah ke liye." Ayub Ikhlaq khan. "Theek hai Abbu agar aapko ye theek lagta tou yahi sahi, par hum bhi aaj wada krte hai nikah ke baad hum kabhi bhi aap logo ko apna chehra nahi dikhayenge kabhi bhi nahi, samjh jaayiega ki aapki koi HoorNaaz naam ki aulaad thi hi nahi." HoorNaaz. • "Ammi aap fir shuru ho gayi ? Hum aapko kitani baar ek hi baat samjhaye haan ? Humein nahi karna dusra nikah please Hume aur iske liye force krna band kariye. " Sartaz Ahmed Khan. "Ammi hai hum aapki, aapke behatri ke liye hi hum chahte hai ki aap dusra nikah kar ley." Rabiya Begum. "Hum theek hai Ammi hamari fikar karna band kar de aap, Hum aise bhi Khushi Khushi apni zindagi guzar sakte hai, humein kisi aurat ke sahare ki zarurat nahi." "Aapko nahi hai kisi aurat ki zarurat par hashrat aur abeer ko tou ek ammi ki zarurat hai, aap guzar lenge apni zindagi akele par hashrat aur abeer vou kaise bin maa ke rahenge ? Unhe tou zarurat hai n aur hum kb tak aapka aur aapke baccho ki dekhbhal karenge hum bhi tou budhe ho rhe hai." Rabiya Begum "Aapki ammi sahi keh rahi hai sartaz aap apne liye na sahi Kum se kum apne bachho ke liye hi kar lijiye ye nikah... Hamari akhiri khwahish maanke hi sahi. " Nauman Ahmed Khan. "Theek hai hum taiyar par hum kbhi usey hazara ki jagah nahi de payenge kabhi bhi nahi, vou hamare liye sirf bachcho ki ammi hogi, hamari begum nahi." Sartaz Ahmed Khan.